us ki aankhon mein utar jaane ko ji chahta hai
sham hoti hai to ghar jaane ko ji chahta hai
kisi kam-zarf ko ba-zarf agar kahna paDe
aise jine se to mar jaane ko ji chahta hai
ek ek baat mein sachchai hai us ki lekin
apne wadon se mukar jaane ko ji chahta hai
qarz TuTe hue KHwabon ka ada ho jae
zat mein apni bikhar jaane ko ji chahta hai
apni palkon pe sajae hue yaadon ke diye
us ki nindon se guzar jaane ko ji chahta hai
ek ujDe hue viran khanDar mein 'azar'
na-munasib hai magar jaane ko ji chahta hai
Ghazal
Uski aankhon mein utar jaane ko ji chahta hai
Kafeel Aazar Amrohvi