us ki aankhon mein kuchh nami si hai
waqt ki nabz bhi thami si hai
har taraf jun ki tun hai har ek shai
kyun tabiat mein barhami si hai
koi ab tak samajh nahin paya
zindagi gunge aadmi si hai
meri jaan teri surKHi-e-lab mein
KHun dil ki mere kami si hai
us se hasil nahin farar kabhi
dard ek chiz lazmi si hai
wo fasurda nazar nahin aata
sirf poshak matami si hai
mera dil bhaari ho gaya hai 'kamal'
us ki yaadon ki tah jami si hai
Ghazal
Uski aankhon mein kuchh nami si hai
Ahmad Kamal Hashmi