us ki aankhon mein haya aur ishaara bhi hai
band honTon se mujhe is ne pukara bhi hai
us ne kandhe pe hamare jo kabhi sar rakkha
yun laga zist mein koi to hamara bhi hai
rit bhi garm hai aur dhup bhi hai tez magar
us ki pur-kaif rifaqat ka sahaara bhi hai
chum kar hath mera deta hai wo dil ko kasak
kaisa dushman hai ki jo jaan se pyara bhi hai
us ke ruKHsar pe barish ki wo halki bunden
phul par qatra-e-shabnam ka nazara bhi hai
itna itrana bhi kuchh Thik nahin yaad rahe
zist mein nafa bhi hai aur KHasara bhi hai
tairta jata hun aur soch raha hun 'anjum'
is samundar ka kahin koi kinara bhi hai

Ghazal
Uski aankhon mein haya aur ishaara bhi hai
Mushtaq Anjum