اردو हिंदी
Uski aankhen hare samundar uski baaten barf | Shaahi Shayari
uski aankhen hare samundar uski baaten barf

Ghazal

Uski aankhen hare samundar uski baaten barf

Hasan Rizvi

;

us ki aankhen hare samundar us ki baaten barf
phir bhi naqsh hua hai dil par us ka ek ek harf

koi bhare kanTon se daman koi phul chune
apna apna daman sab ka apna apna zarf

us ki chah mein ranjha ban kar bela bela ghume
dhup ke is sahra mein apni umr hui hai sarf

ek duje ko dekh na pae barson bit gae
aankhon ki putli mein kho kar rah gae kitne harf

sukhe dariyaon ki surat qatra qatra tarsen
jaane kab chamkega suraj kab pighlegi barf