us ke qurb ke sare hi aasar lage
hawa mein lahraate gesu-e-yar lage
dil bhi kya nairang-e-sarab-e-arzu hai
raunaq dekho to koi bazar lage
main ghabra kar tujh ko pukarun to ye falak
aangan bich bahut unchi diwar lage
ek be-mani mahwiyyat si hai shab-o-roz
socho to jo kuchh hai sab bekar lage
meri ana uftadgi mein bhi kya hai 'zeb'
koi hath baDhae to talwar lage
Ghazal
Uske qurb ke sare hi aasar lage
Zeb Ghauri