us ke lahje ka wo utar chaDhao
raat ki narm rau nadi ka bahao
us ki aankhon ke wasf kya likkhun
jaise KHwabon ka be-karan Thahrao
un nigahon ki guftugu mein hai
nind mein gum hawaon ka uljhao
us badan ki nazakaten mat puchh
shisha-e-gul mein chand ka lahrao
nind ki wadiyon mein pichhle pahar
ek lai ek naghma ek alao
aisi tanhai ka mudawa kya
sat dariyaon mein akeli naw
un labon ki wo bosa bosa uThan
aur palkon ka nashsha nashsha jhukao
us gali us dayar ki KHush-bu
ai subuk-sair narm-gam hawao
naujawani mein maut ki KHwahish
tum hi samjha sako to kuchh samjhao
jaane wo ghuncha kis chaman ka hai
jis mein gum hai bahaar ka phailao
raat kahti hai mujh ko pyar se dekh
mujh mein hai chashm-e-yar ka gahrao
shola-e-jaan hai bujhne ko 'jawed'
aur dil mein dahak raha hai alao
Ghazal
Uske lahje ka wo utar chaDhao
Ahmad Javed