us ke kuche mein bahut rahte hain diwane paDe
un mein dekha to miyan-'rangin' na pahchane paDe
main safar mein hun aur us ko ghair bahkate hain wan
mujh ko ab kaghaz ke ghoDe yan se dauDne paDe
saqiya teri nigah-e-naz ke bais se dekh
jam o KHum aundhe hain aur talpaT hain paimane paDe
doston ke kahne sunne se mujhe majbur ho
zaKHm-e-dil jarrah ko ai wae dikhlane paDe
ab ghazal ek aur 'rangin' tu badal kar likh radif
qafiya phir ye mukarrar tujh ko kah jaane paDe
Ghazal
Uske kuche mein bahut rahte hain diwane paDe
Rangin Saadat Yaar Khan