us ke jate hi ye kya ho gai ghar ki surat
na wo diwar ki surat hai na dar ki surat
kis se paiman-e-wafa bandh rahi hai bulbul
kal na pahchan sakegi gul-e-tar ki surat
hai gham-e-roz-e-judai na nashat-e-shab-e-wasl
ho gai aur hi kuchh sham-o-sahar ki surat
apni jebon se rahen sare namazi hushyar
ek buzurg aate hain masjid mein KHizar ki surat
dekhiye shaiKH musawwir se khiche ya na khiche
surat aur aap se be-aib bashar ki surat
waizo aatish-e-dozaKH se jahan ko tum ne
ye Daraya hai ki KHud ban gae Dar ki surat
kya KHabar zahid-e-qane ko ki kya chiz hai hirs
us ne dekhi hi nahin kisa-e-zar ki surat
main bacha tir-e-hawadis se nishana ban kar
aaDe aai meri taslim-e-sipar ki surat
shauq mein us ke maza dard mein us ke lazzat
naseho us se nahin koi mafar ki surat
hamla apne pe bhi ek baad-e-hazimat hai zarur
rah gai hai yahi ek fath o zafar ki surat
rahnumaon ke hue jate hain ausan KHata
rah mein kuchh nazar aati hai KHatar ki surat
yun to aaya hai tabahi mein ye beDa sau bar
par Daraati hai bahut aaj bhanwar ki surat
un ko 'haali' bhi bulate hain ghar apne mehman
dekhna aap ki aur aap ke ghar ki surat
Ghazal
Uske jate hi ye kya ho gai ghar ki surat
Altaf Hussain Hali