us ke honTon pe bad-dua bhi nahin
ab mere waste saza bhi nahin
lafz KHamoshiyon ka parda hain
bolta hai wo bolta bhi nahin
main ne phulon ko khilte dekha hai
us ne honTon se kuchh kaha bhi nahin
ek muddat se sath hun apne
aur main KHud ko jaanta bhi nahin
hadse aam ho gae itne
muD ke ab koi dekhta bhi nahin
jaane kyun dil ki aankh roti hai
mere andar koi mara bhi nahin
Ghazal
Uske honTon pe bad-dua bhi nahin
Farooq Bakshi