us ke hisar-e-KHwab ko mat karb-e-zat kar
is KHushbu-e-KHayal ko tu kaenat kar
dil kab talak judai ki shamen manaega
meri taraf kabhi to nasim-e-hayat kar
main ek tawil raste par hun khaDi hui
ya habs-e-tirgi le ya hathon mein hath kar
dhime suron mein chheD ke phir saz-e-zindagi
tu mere lahje mein bhi kabhi mujh se baat kar
wo hijraten hon, hijr ho ya qissa-e-visal
aa phir se mere nam sabhi waqiat kar
pairon se us ke nam ke raste lipaT gae
ab to yaqin ke shahr mein 'nahid' raat kar

Ghazal
Uske hisar-e-KHwab ko mat karb-e-zat kar
Naheed Virk