اردو हिंदी
Uske har rang se kyun shoala-zani hoti hai | Shaahi Shayari
uske har rang se kyun shoala-zani hoti hai

Ghazal

Uske har rang se kyun shoala-zani hoti hai

Josh Malsiani

;

us ke har rang se kyun shoala-zani hoti hai
un ki taswir to kaghaz ki bani hoti hai

aql o mazhab ki jab aapas mein Thani hoti hai
phir to har rah-bari rahzani hoti hai

yaad aati hai jab un ki nigah-e-naz mujhe
ek barchhi mere sine pe tani hoti hai

kis tarah dur hon aalam-e-gharib-ul-watani
zindagi KHud bhi gharib-ul-watani hoti hai

phal use aae na aae ye muqaddar ki hai baat
chhanw to naKHl-e-tamanna ki ghani hoti hai

shikwe tauqir-e-mohabbat bhi hua karte hain
magar us waqt jab aapas mein bani hoti hai

main bhi pita hun mujhe is se kuchh inkar nahin
wo magar daman-e-taqwa mein chhani hoti hai

zabt-e-girya se kahin chaak na ho jae jigar
bund aansu ki bhi hire ki kani hoti hai

ek tumhaari hi nazakat hai jo hai tum pe giran
warna har phul mein nazuk-badani hoti hai

is qadar ghair hai kyun haal tumhaara ai 'josh'
kabhi dil par to kabhi dam pe bani hoti hai