us ke chehre pe tabassum ki ziya aaegi
wo mujhe yaad karega to haya aaegi
oDh kar jism pe yaadon ki rida aaegi
jab bhi mazi ke jharokon se hawa aaegi
kaun mazlum ki fariyaad sunega na-haq
lauT kar dasht mein KHud apni sada aaegi
kis qadar bikhra hua hun main bichhaD ke tujh se
yaad ab kis ki mujhe tere siwa aaegi
band kamron mein kisi ko bhi ye ehsas na tha
dar khulenge to bahut tez hawa aaegi
ghair-manus fazaon mein to KHush hun lekin
jaane kis moD pe manus faza aaegi
nam to apna gunahgaron ki fihrist mein likh
tere hisse mein bhi rangin qaba aaegi
zindagi sab se juda guzregi apni 'anjum'
maut bhi aai to wo sab se juda aaegi
Ghazal
Uske chehre pe tabassum ki ziya aaegi
Aanand Saroop Anjum