us ke badan ka lams abhi ungliyon mein hai
KHushbu wo chandni ki mere zaiqon mein hai
main soch ke bhanwar mein tha jis shaKHs ke liye
wo KHud bhi kuchh dinon se baDi uljhanon mein hai
us ka wajud KHamushi ka ishtihaar hai
lagta hai ek umr se wo maqbaron mein hai
main aasman pe naqsh nahin hun magar suno
ab bhi meri shabih kai surajon mein hai
meri tarah labaada KHamoshi ka oDh le
apna kiya-dhara hai jo ab jholiyon mein hai
main kore kaghazon ki qataren udas udas
guzri ruton ke dukh ki thakan baadalon mein hai
har chand kaenat rahi be-karan magar
insan ibtida hi se kuchh daeron mein hai
Ghazal
Uske badan ka lams abhi ungliyon mein hai
Tariq Jami