us ke aane pe bhi nahin aai
dard mein kuchh kami nahin aai
umr bhar doston ne mehnat ki
par hamein dosti nahin aai
apne hi ghar pe aa nikalte hain
hum ko aawargi nahin aai
doston ke kisi latife par
aaj hum ko hansi nahin aai
hum ko bhi shauq zindagi ka tha
kya kahin ras hi nahin aai
ab ke aai bhi aur gai bhi bahaar
fasl-e-diwangi nahin aai
zindagi ban gai adu si 'shujaa'
aur hamein maut bhi nahin aai
Ghazal
Uske aane pe bhi nahin aai
Shuja Khaavar

