us ke aane ki KHabar chupke se lati hai hawa
raat mein subh ki manind jagati hai hawa
naghmagi saz mein sanson ke utar jati hai
dil ke sahraon mein jab jhumti-gati hai hawa
abr kuchh der baras ke jo chala jata hai
der tak peD ki shaKHon ko rulati hai hawa
jab se ek phul se chehre ne nazar pheri hai
aisa lagta hai ki is shahar se jati hai hawa
ret par yun hain bagulon ki qataren 'mina'
aaj bhi naqsh-e-qadam us ke miTati hai hawa
Ghazal
Uske aane ki KHabar chupke se lati hai hawa
Meena Naqvi