اردو हिंदी
Us kakul-e-pur-KHam ka KHalal jae to achchha | Shaahi Shayari
us kakul-e-pur-KHam ka KHalal jae to achchha

Ghazal

Us kakul-e-pur-KHam ka KHalal jae to achchha

Shah Naseer

;

us kakul-e-pur-KHam ka KHalal jae to achchha
dil sar se bala tere ye Tal jae to achchha

bose ka sawal us se karun hun to kahe hai
chal re mere kuchh munh se nikal jae to achchha

isbaat na ho dawa-e-KHun us pe ilahi
surat mere qatil ki badal jae to achchha

le sar pe wabaal apne patangon ka na ai shama
tu aur bhi joban se jo Dhal jae to achchha

Dasne ko mera dil hai teri zulf ki nagin
taus-KHat us ko jo nigal jae to achchha

hum chashmi teri chashm se karta hai ye baadam
us ko koi patthar se kuchal jae to achchha

zulfon ke tasarruf mein hai be-wajh ruKH-e-yar
kuffar ka kabe se amal jae to achchha

KHun ho ke rawan dil ho gar aankhon se to behtar
ya ishq ki aatish mein ye jal jae to achchha

lab par se bulaq apni dam-e-bosa uTha do
andesha-e-zambur-e-asal jae to achchha

pahlu se nikal jae agar dil to bala se
tu chhoD ke KHali na baghal jae to achchha

kahte hain 'nasir' apni na tum aah ko roko
ye tir nishane pe jo chal jae to achchha