اردو हिंदी
Us ka wada ta-qayamat kam se kam | Shaahi Shayari
us ka wada ta-qayamat kam se kam

Ghazal

Us ka wada ta-qayamat kam se kam

Saba Akbarabadi

;

us ka wada ta-qayamat kam se kam
aur yahan marne ki fursat kam se kam

sah sake dard-e-mohabbat kam se kam
dil mein itni to ho taqat kam se kam

is ki yaadon se kahan hai dushmani
shama jalti sham-e-furqat kam se kam

us ke milne se na hoti raushni
ghaT to jati gham ki zulmat kam se kam

dekhne se un ke ye hasil hua
ho gai apni ziyarat kam se kam

us ke KHat mein aur sab kuchh tha magar
sirf matlab ki ibarat kam se kam

dard dene ke wahan saman bahut
aur taDapne ki ijazat kam se kam

kyun gham-e-dauran ziyaada mil gaya
thi hamein jis ki zarurat kam se kam

KHair tum se dosti mushkil sahi
rahne do sahib-salamat kam se kam

dekh kar un ko ye andaza hua
hogi aisi hi qayamat kam se kam

daulat-e-gham ki farawani sahi
daman-e-dil mein hai wusat kam se kam

gham nahin jo chand yaaden sath thin
kar to li dil ki hifazat kam se kam

sina-chaaki umr bhar ki hai 'saba'
zaKHm silne ki thi muddat kam se kam