us ka lahja ukhaDta jata hai
phir bichhaDne ka waqt aata hai
us ka andaz-e-guftugu akasr
mere lahje mein jagmagata hai
us ki sansen jab aag deti hain
mera chehra bhi timtimata hai
pyas jab eDiyan ragaDti hai
chashma-e-ab phuT jata hai
jab bhi aata hai phul kajal ke
mere kandhe pe Tank jata hai
main chakoron ka ham-nawa hun mujhe
tu shab-e-hijr se Daraata hai
der tak main bhi main nahin rahta
jab wo mere qarib aata hai
Ghazal
Us ka lahja ukhaDta jata hai
Khwaja Sajid