اردو हिंदी
Us ka lahja kitab jaisa hai | Shaahi Shayari
us ka lahja kitab jaisa hai

Ghazal

Us ka lahja kitab jaisa hai

Jazib Quraishi

;

us ka lahja kitab jaisa hai
aur wo KHud gulab jaisa hai

dhup ho chandni ho barish ho
ek chehra ki KHwab jaisa hai

be-hunar shohraton ke jangal mein
sang bhi aaftab jaisa hai

bhul jaoge KHal-o-KHad apne
aaina bhi sarab jaisa hai

wasl ke rang bhi badalte the
hijr bhi inqalab jaisa hai

yaad rakhna bhi tujh ko sahl na tha
bhulna bhi azab jaisa hai

be-sitara hai aasman tujh bin
aur samundar sarab jaisa hai