us ka KHayal aate hi manzar badal gaya
matla suna raha tha ki maqta phisal gaya
bazi lagi hui thi uruj-o-zawal ki
main aasman-mizaj zamin par machal gaya
chaaron taraf udas safedi bikhar gai
wo aadmi to shahr ka manzar badal gaya
tum ne jamaliyat bahut der se paDhi
patthar se dil lagane ka mauqa nikal gaya
sara mizaj nur tha sara KHayal nur
aur is ke bawajud sharare ugal gaya

Ghazal
Us ka KHayal aate hi manzar badal gaya
Rauf Raza