us ka jawab milna jahan mein muhaal hai
wo husn-e-la-jawab KHud apni misal hai
ye aur baat hai ki na hon un ko iltifat
wo KHub jaante hain hamara jo haal hai
talib koi hai ek karam ki nigah ka
kije na rad kisi ka ye pahla sawal hai
jitne hain dur utne hi dil ke qarib hain
hum ko to daur-e-hijr bhi daur-e-visal hai
hum baada-kash to mai ko samajhte hain zindagi
ai waiz-e-buzurg tera kya KHayal hai
duniya mein ba-kamal milenge gali gali
main be-kamal hun yahi mera kamal hai
'shaeq' teri nazar ki jawani na jaegi
pinhan teri nazar mein kisi ka jamal hai
Ghazal
Us ka jawab milna jahan mein muhaal hai
Riyazat Ali Shaiq