us ka hai azm-e-safar aur nikharne wala
saKHt mausam se musafir nahin Darne wala
chaargar tujh se nahin koi tawaqqo mujh ko
dard hota hai dawa had se guzarne wala
na-KHuda tujh ko mubarak ho KHudai teri
sath tere main nahin par utarne wala
us pe ehsan ye karna na uThana us ko
apne pairon pe khaDa hoga wo girne wala
par karne the use kitne sawalon ke bhanwar
aTkalen chhoD gaya Dub ke marne wala
main uDanon ka taraf-dar use kaise kahun
baal-o-par jo hai parindon ke katarne wala
kyun bhala mere liye itne pareshan ho tum
ek patta hi to hun sukh ke jharne wala
apni nazron se gira hai jo kisi ka bhi nahin
sath kya dega tera KHud se mukarne wala
gard haalat ki ab aisi jami hai tujh par
aaine aks nahin koi ubharne wala
ye zamin wo to nahin jis ka tha wada tera
koi manzar to ho aankhon mein Thaharne wala
Ghazal
Us ka hai azm-e-safar aur nikharne wala
Dwijendra Dwij