us ka haal-e-kamar khula hamdam
hum ko mulk-e-adam mila hamdam
haal-e-dil 'mehr' ka khula hamdam
dard hamdard-e-dil hua hamdam
walih-e-kakul-e-rasa hamdam
sar-e-sauda ka ho raha hamdam
dard hum ko hua dawa hamdam
aur lillah dil dukha hamdam
dil ka hasil ho muddaa hamdam
rahm kar aa idhar ko aa hamdam
allah allah lala-e-kohsar
gul-e-lauh-e-lahad hua hamdam
mausam-e-gul ho koh-e-sahra ho
sar ho sauda ho walwala hamdam
hum ko daura-e-surur wada-e-wasl
daur hoga mudam ka hamdam
hukm hum ko hua ki gul khao
wah wah aur gul khila hamdam
hoga malum haal-e-ruh allah
lal-e-dil-dar gar hila hamdam
allah allah aah-e-sard-e-sahar
garm kis kis tarah hua hamdam
kis tarah ka moamla hoga
wasl us ka agar hua hamdam
kis tarah tale-e-adu ho sad
kis tarah ullu ho huma hamdam
hum ko us lal ka dikha aalam
muskura kar lahu rula hamdam
dam-e-kakul ho silsila hamdam
gar sar-e-mu girah ho wa hamdam
dil ka wo haal is ka wo aalam
kis ka ho hum ko aasra hamdam
rakho 'mehr' us ko likkho aur tarah
daur-e-kilk-e-mudam la hamdam
Ghazal
Us ka haal-e-kamar khula hamdam
Hatim Ali Mehr