us ka chehra bhi sunata hai kahani us ki
chahti hun ki sunun us se zabani us ki
wo sitamgar hai to ab us se shikayat kaisi
aur sitam karna bhi aadat hai purani us ki
besh-qimat hai ye moti se meri palkon par
chand aansu hain mere pas nishani us ki
us jafa-kar ko malum nahin wo kya hai
be-murawwat ko hai taswir dikhani us ki
ek wo hai nazar-andaz kare hai mujh ko
ek main hun ki dil o jaan se diwani us ki
tum ko ulfat hai 'qamar' us se to ab kah dena
samne sab ke suna dena kahani us ki

Ghazal
Us ka chehra bhi sunata hai kahani uski
Rehana Qamar