us ka chehra bhi chamak mein na misali nikla
chand suraj ke ujalon ka sawali nikla
log samjha kiye mausam hi nahin uDne ka
us ki uzlat ka sabab be-par-o-baali nikla
phul to mil gaya KHushbu na magar hath lagi
us ko pane ka junun KHam-KHayali nikla
barish-e-sang mein bhi aai dua honTon par
sab ne kam-tar jise jaana tha wo aali nikla
be-hadaf tir chalata raha koi 'gulzar'
jab zarurat paDi tarkash wahan KHali nikla

Ghazal
Us ka chehra bhi chamak mein na misali nikla
Gulzar Bukhari