us ka badan bhi chahiye aur dil bhi chahiye
surKHi-e-lab bhi gal ka wo til bhi chahiye
ye karobar-e-shauq hai be-gar to nahin
is karobar-e-shauq ka hasil bhi chahiye
pani aur aag ek jagah chahiyen hamein
jo shaKH gul-ba-dast ho qatil bhi chahiye
sab ko KHabar to ho ki wo mera hai bas mera
pahlu mein yar barsar-e-mahfil bhi chahiye
pa kar charagh-e-dil ki hawas aur baDh gai
mausuf ko ab ek mah-e-kaamil bhi chahiye
yun be-kanar aarzuon se wasul kya
KHwahish ko ek samt bhi sahil bhi chahiye
zholida-mu o chaak-gareban sab ahl-e-dil
koi to is qabile mein aaqil bhi chahiye
apni alag shanaKHt bhi 'imrran' ho zarur
wo shaKHs apni zist mein shamil bhi chahiye
Ghazal
Us ka badan bhi chahiye aur dil bhi chahiye
Imran-ul-haq Chauhan