us ka anjam bhala ho ki bura ho kuchh ho
ab reaya hamein rahna nahin shaho kuchh ho
zaKHm ka ek sa ye rang nahin bhata hai
ab to ye Thik ho ya aur hara ho kuchh ho
band yaadon ke hawalat mein kab tak rahun main
ya main ho jaun bari ya to saza ho kuchh ho
jism kahta hai ki ab jaan se guzar hi jao
dil ye kahta hai ki ye rishta nibaho kuchh ho
be-parastish bashariyyat nahin rah sakti hai
but ho mahbub ho duniya ho KHuda ho kuchh ho
ab to bistar se ye bimar uTha chahta hai
kuchh to do zahr-e-halahal ho dawa ho kuchh ho
zist 'arshad' baDi be-kaif hui jati hai
chahiye dard purana ho naya ho kuchh ho
Ghazal
Us ka anjam bhala ho ki bura ho kuchh ho
Arshad Jamal Hashmi