us husn ka shaida hun us husn ka diwana
har gul hai jahan bulbul har shama hai parwana
patthar paDen donon par kaba ho ki but-KHana
donon se kahin achchha diwane ka parwana
kahta hai ana laila kaisa hai ye diwana
nibhne ka nahin do din ab qais se yarana
kaba ho kalisa ho dil ho ki sanam-KHana
jalwa ho jahan tera aabaad wo kashana
chhoTa sa mera dil hai TuTa sa mera dil hai
surat mein to paimana wusat mein hai mai-KHana
dil se hai lagi ye lo ek zarra barabar zau
paD jae tera partaw ai jalwa-e-jaanana
begana yagana hai dil aaina-KHana hai
kabe ka ye kaba hai but-KHane ka but-KHana
hai josh-e-junun par wo ai ishq-e-KHirad-agah
farzana hai diwana diwana hai farzana
farhad bhi majnun bhi lete hain qadam mere
aisa bhi na ho koi is ishq mein diwana
yaad aai bahut hum ko TuTi hui tauba bhi
dekha jo kahin hum ne TuTa hua paimana
shishe ki pari tujh mein kya husn ka aalam hai
saqi na ho phir bhi to ye ghar hai pari-KHana
de koi sakhi data mai-KHana baDa ghar hai
aata hai sada deta shab ko koi mastana
bahke hue logon mein sab se hain 'riyaz' achchhe
raftar hai mastana guftar hai rindana
Ghazal
Us husn ka shaida hun us husn ka diwana
Riyaz Khairabadi