us gul ko bhejna hai mujhe KHat saba ke hath
is waste laga hun chaman ki hawa ke hath
barg-e-hina upar likho ahwal-e-dil mera
shayad ki ja lage wo kisi mirza ke hath
aazad ho raha hun do aalam ki qaid se
mina laga hai jab se ki kuchh be-nawa ke hath
marta hun mirzai-e-gul dekh har sahar
suraj ke hath chunari to pankha saba ke hath
'mazhar' chhupa ke rakh dil-e-nazuk ko apne tu
ye shisha bechna hai kisi mirza ke hath
Ghazal
Us gul ko bhejna hai mujhe KHat saba ke hath
Mazhar Mirza Jaan-e-Janaan