us gali mein jo hum ko lae qadam
panw paDte hi laDkhaDae qadam
wae qismat main rah gaya pichhe
aur rafiqon ne jald uThae qadam
har qadam par hai lash kushte ki
ab kahan us gali mein jae qadam
tere kuche se aae jo un ke
apni aankhon se main lagae qadam
ashk-e-KHuni se mere us ku main
naKHl-e-marjaan hain naqsh-ha-e-qadam
karwan-e-adam kidhar ko gaya
mutlaq aati nahin sada-e-qadam
peshtar manzil-e-fana se nahin
wadi-e-ma-o-man mein jae qadam
'mushafi' salikan-e-ishq ka hai
aisi manzil pe intiha-e-qadam
Ghazal
Us gali mein jo hum ko lae qadam
Mushafi Ghulam Hamdani