اردو हिंदी
Us gali ke logon ko munh laga ke pachhtae | Shaahi Shayari
us gali ke logon ko munh laga ke pachhtae

Ghazal

Us gali ke logon ko munh laga ke pachhtae

Habib Jalib

;

us gali ke logon ko munh laga ke pachhtae
ek dard ki KHatir kitne dard apnae

thak ke so gaya suraj sham ke dhundlakon mein
aaj bhi kai ghunche phul ban ke murjhae

hum hanse to aankhon mein tairne lagi shabnam
tum hanse to gulshan ne tum pe phul barsae

us gali mein kya khoya us gali mein kya paya
tishna-kaam pahunche the tishna-kaam lauT aae

phir rahi hain aankhon mein tere shahr ki galiyan
Dubta hua suraj phailte hue sae

'jalib' ek aawara uljhanon ka gahwara
kaun us ko samjhae kaun us ko suljhae