us ek shaKHs ka koi pata nahin milta
ki us ke baad to kuchh bhi naya nahin milta
wo aaine se bhi nazren chura raha hoga
ki us ka rup hi us se zara nahin milta
wo dhup chhanw kare kahkashan bahaar kare
wo arz-o-tul ke andar bandha nahin milta
wo jism ruh KHala aasman hai kya hai
ki rang koi ho us se juda nahin milta
kabhi kabhi hi KHazane nasib hote hain
bana banaya hua sab sada nahin milta
bana to rakkha hai munsif ko apna pahre-dar
wo apne jurm se lekin riha nahin milta
ai kaenat zara muTThiyan to khol kabhi
pata jo rakhta ho malik tera nahin milta
Ghazal
Us ek shaKHs ka koi pata nahin milta
Vishal Khullar