us chashm ne ki tutiyon ko nukta-dan kiya
aisi ki ek nigah ki mujhe be-zaban kiya
ghabraun kis tarah dil-e-pur-ah se na main
us soKHta ne ab to nihayat dhuan kiya
haal us ne puchha jab na rahi taqat-e-bayan
is puchhne ne aur mujhe be-zaban kiya
yarab tu us ke dil se sada rakhiyo gham ko dur
jis ne kisi ke dil ko kabhi shadman kiya
nairang be-sabaati ka hai is chaman ka rang
bulbul ne kya samajh ke yahan aashiyan kiya
mazmun-e-KHat usi se hai zahir ki hoga kya
qasid ki ja jo ashk ko hum ne rawan kiya
gah ishwa gah karishma gahe naz gah ada
kis kis tarah se us ne mujhe imtihan kiya
KHubon ko ham-nashin tu kabhi dil na dijiyo
main is muamle mein bahut saziyan kiya
majnun ka ishq sach hai pa mauzunon ne 'raza'
zarra si baat thi use ek dastan kiya
Ghazal
Us chashm ne ki tutiyon ko nukta-dan kiya
Raza Azimabadi

