us chashm-e-fusun-gar ke paimane ki baaten hon
maiKHane mein baiThe hain maiKHane ki baaten hon
zulf-o-lab-o-ariz ki jannat mein pahunch jaen
us husn-e-mujassam ke kashane ki baaten hon
lauTi hai saba hal kar us jaan-e-bahaaran se
armanon ki kaliyon ke khil jaane ki baaten hon
phir dukhne lage shane bar-e-gham-e-hasti se
phir shane pe zulfon ke lahrane ki baaten hon
phir waqt ke sine ki dhaDkan na sunai de
phir jam ke shishe se Takrane ki baaten hon
is daur-e-haqiqat mein afsana sahi ulfat
kuchh raat kaTe aao afsane ki baaten hon
alfaz se khinchen hum taswir-e-lab-e-shirin
zahr-e-gham duniya ko pi jaane ki baaten hon
Ghazal
Us chashm-e-fusun-gar ke paimane ki baaten hon
Manzar Saleem