us chand ko tum dil mein chhupa kyun nahin lete
is pyas ki shiddat ko bujha kyun nahin lete
gar pyar ki aatish mein sulagne mein maza hai
phir ishq mein tum KHud ko jala kyun nahin lete
ye lasha-e-jaan aaega ab kaun uThane
is bojh ko kandhon pe uTha kyun nahin lete
is shahr mein hain lakh tabibon ki dokanen
bimar hai gar dil to dawa kyun nahin lete
hai dil mein 'riyaz' apne chhupi dard-kahani
ro-dho ke zamane ko suna kyun nahin lete

Ghazal
Us chand ko tum dil mein chhupa kyun nahin lete
Riaz Hans