us but se jo milne ki tadbir nazar aai
banti hui kuchh apni taqdir nazar aai
chhup chhup ke zamane se kyun ashk-rawani hai
shayad ki mohabbat mein tasir nazar aai
jine ka maza kya hai jab maut hi ruThi ho
jis samt qadam uTThe zanjir nazar aai
jab aalam-e-wahshat mein apne ko bhula baiTha
anjam-e-mohabbat ki taqsir nazar aai
paimana-o-mina ki surat mein 'rais' aaKHir
TuTi hui tauba ki taswir nazar aai

Ghazal
Us but se jo milne ki tadbir nazar aai
Raees Narvi