us but ne gulabi jo uTha munh se lagai
shishe mein ajab aan se jhamke thi KHudai
aalam mein nashe ke shab-e-mahtab ne tere
KHurshid se mukhDe ne tilismat dikhai
go ghair se milne ki qasam khate ho pyare
chhupti nahin wo baat jo ho dil se banai
wallah hamein ishq ki sab bhul hui chaal
kafir teri raftar ne phir yaad dilai
har dam to bhara shisha jhukata hai nashe mein
Darta hun ki teri na muDak jae kalai
aaina numu-posh hua ishq mein tere
chaar abaruon ki le ke faqirana safai
hum jhuT kahen to na ho didar KHuda ka
hai roz-e-qayamat teri ek shab ki judai
aashiq ko 'muhib' saltanat-e-har-do-jahan hai
gar yar ke kuche ki mayassar ho gadai
Ghazal
Us but ne gulabi jo uTha munh se lagai
Waliullah Muhib