us but ko nahin hai Dar KHuda se
bigDi bande se gar KHuda se
go KHalq bhi jaane haal mera
poshida nahin magar KHuda se
hai hum se to aah aah karna
dena is ko asar KHuda se
hum ne use apna sud jaana
pahuncha bhi agar zarar KHuda se
dekha hai main jab se wo but-e-shoKH
phir gai hai meri nazar KHuda se
baziche mein hai udhar wo mashghul
aur ban rahi hai idhar KHuda se
kuchh KHub nahin ye KHud-numai
han ai but-e-shoKH Dar KHuda se
hai bair KHudai aur KHudi mein
itni bhi KHudi na kar KHuda se
ye sare KHuda-shanas hain lek
deta nahin koi KHabar KHuda se
ai 'mushafi' kuchh kami nahin wan
jo chahe so mang par KHuda se
Ghazal
Us but ko nahin hai Dar KHuda se
Mushafi Ghulam Hamdani