us bande ki chah dekhiyega
aur us ka nibah dekhiyega
main kaise nibahta hun tum se
insha-allah dekhiyega
faujen ashkon ki tul rahi hain
ye hashmat-o-jah dekhiyega
aashiq mujhe jaan karte hain qatl
taqsir o gunah dekhiyega
'insha' se aap ab KHafa hain
yun bhar ke nigah dekhiyega
Ghazal
Us banda ki chah dekhiyega
Insha Allah Khan u0027Inshau0027

