us baat ka koi ranj nahin hum us ki tawajjoh pa na sake
afsos hamein bas itna hai hum dil ka haal chhupa na sake
wo itna achchha hai us ko har koi apna kahta hai
par hum kyun apna samjhe the ye baat use samjha na sake
hum aaj se pahle zaKHmon par hansti aankhon se rote the
is bar magar dukh aisa hai hansna to juda muska na sake
do lafz bayan kar dete hain ek umr ka apni afsana
wo chhoD ke gulshan aa na saka hum chhoD ke sahra ja na sake
dil ek ziddi bachche ki tarah 'shahzad' se bigDa baiTha hai
juz ek naraaz se patthar ke koi aur use bahla na sake
Ghazal
Us baat ka koi ranj nahin hum uski tawajjoh pa na sake
Farhat Shahzad

