us aaine mein dekhna hairat bhi aaegi
ek roz mujh pe us ki tabiat bhi aaegi
qadghan laga na ashkon pe yaadon ke shahr mein
hoga agar tamasha to KHilqat bhi aaegi
main aaina banunga tu patthar uThaega
ek din khuli saDak pe ye naubat bhi aaegi
mausam agar hai sard to phir aag tap le
chamkegi aankh KHun mein hararat bhi aaegi
kuchh der aur shaKH pe rahne de sabr kar
pakne de phal ko khane mein lazzat bhi aaegi
aankhen hain tere pas to phir sath-e-ab par
gahrai se ubhar ke ibarat bhi aaegi
niklen charagh hath mein le kar gharon se log
suraj ki rah mein manzil-e-zulmat bhi aaegi
ye jaanta to kaTta 'sajid' na sae ko
talwar par lahu ki tamazat bhi aaegi
Ghazal
Us aaine mein dekhna hairat bhi aaegi
Iqbal Sajid