uruj us ke liye tha zawal mere liye
nazar nazar mein raha ek sawal mere liye
haqiqaten sabhi mansub un ke namon se
sarab KHwab tasawwur KHayal mere liye
main ek parinda hun masruf-e-rizq ki KHatir
udhar hain ahl-e-nasheman niDhaal mere liye
dayar-e-ghair mein sham-o-sahar aziyyat hai
dayar-e-dil mein Thaharna muhaal mere liye
main apne hisse ki furqat ke baad aaunga
zara saliqe se KHud ko sambhaal mere liye
wo muntazir tha sharab-e-nazar liye 'zakir'
ghaTa ne khol ke rakkhe the baal mere liye
Ghazal
Uruj uske liye tha zawal mere liye
Zakir Khan Zakir