uqab dil ho to sara jahan ek sa hai
zamin koi bhi ho aasman ek sa hai
koi Thikana watan ka badal nahin hota
muhajiron ke liye har makan ek sa hai
tayyunat-e-ilaqa briadri firqe
sipah-e-jahl kahin ho nishan ek sa hai
wo koi sahab-e-jagir ho ki mulla ho
magar hamare liye qahrman ek sa hai
nigah masnad-e-ala pe roz-e-awwal se
dayar-e-yar ka har pasban ek sa hai
panah daman-e-qanun mein na masjid mein
hamare shahr mein har saeban ek sa hai
hamari aankh ka tara wo ho nahin sakta
tamam bazm pe jo mehrban ek sa hai
faluja-o-najaf-o-karbala se pahle wo
samajh rahe the ki har be-zaban ek sa hai
hazar bar bhi luT kar sabaq nahin sikha
wafa ke shahr mein har KHush-guman ek sa hai
jihad-e-saif ho 'KHalid' ki ho jihad-e-qalam
kisi zaban mein ho imtihan ek sa hai
Ghazal
Uqab dil ho to sara jahan ek sa hai
Khalid Yusuf