uns hai KHana-e-sayyaad se gulshan kaisa
naz-parward-e-qafas hun main nasheman kaisa
hum wo uryan hain ki waqif nahin ai josh-e-junun
nam kis shai ka gareban hai daman kaisa
apni aazurda-dili baad-e-fana kaam aai
Dher yahan gard-e-kudurat ke hain madfan kaisa
kah diya bas ki teri aah mein tasir nahin
ye na dekha ki ye sina mein hai rauzan kaisa
chhuT ke us phul se barbaad paDe phirte hain
hum to ab tair-e-nighat hain nasheman kaisa
dil use de ke chale mulk-e-adam ko be-KHauf
mal rakhte nahin andesha-e-rahzan kaisa
dil-e-betab ki hai sina-e-sozan mein sada
asl para ki hai kya dana-e-gulKHan kaisa
tha kabhi daur-e-asiran-e-qafas ai sayyaad
ab to ek phul ki muhtaj hain gulshan kaisa
chaar din mein ye zamana bhi guzar jaega
abhi roenge jawani ko laDakpan kaisa
saKHt-jaan hain teri talwar se kya KHauf hamein
saKHti-e-marg se dabte nahin aahan kaisa
jal gae surat-e-parwana tab ishq se hum
phenk de lash uTha kar koi madfan kaisa
ek din ablaq-e-ayyam karega pamal
mujh se rah rah ke bigaDta hai ye tausan kaisa
ishq se kaam na tha husn ki parwa bhi na thi
yaad aata hai jawani mein laDakpan kaisa
khelte ho dil-e-betab se phulon ki tarah
aur hota hai meri jaan laDakpan kaisa
shama se aap ke sozan ye suna karte hain
koi muhtaj-e-kafan bhi na ho madfan kaisa
chahta hun koi dekhe na teri tegh ke zaKHm
chashm-e-jarrah hai kya dida-e-sozan kaisa
naqsh-e-pa hain hawas-e-nam-o-nishan KHak nahin
hum to uThne ke liye baiThe hain maskan kaisa
aandhiyan garm jo chalti hain meri aahon se
munh chhupata hai charagh-e-tah-e-daman kaisa
sina apna hai hamara dil-e-sozan apna
sham-e-fanus o charagh-e-tah-e-daman kaisa
dur jab se sifat-e-barg-e-KHizan-dida hai
yaad aata hai shab-o-roz wo gulshan kaisa
Ghazal
Uns hai KHana-e-sayyaad se gulshan kaisa
Taashshuq Lakhnavi