uns apne mein kahin paya na begane mein tha
kya nasha hai sara aalam ek paimane mein tha
aah itni kawishen ye shor-o-shar ye iztirab
ek chuTki KHak ki do par ye parwane mein tha
aap hi us ne anal-haq kah diya ilzam kya
hosh kis ne le liya tha hosh diwane mein tha
allah allah KHak mein milte hi ye pa-e-samar
lo KHuda ki shan phal bhi phul bhi dane mein tha
shaiKH ko jo parsa kahta hai us ko kya kahun
main ne apni aankh se dekha wo mai-KHane mein tha
'shair'-e-nazuk-tabiat hun mera dil kaT gaya
saqiya lena ki shayad baal paimane mein tha
Ghazal
Uns apne mein kahin paya na begane mein tha
Agha Shayar Qazalbash