unhin logon ki badaulat ye hasin achchhe hain
chahne wale in achchhon se kahin achchhe hain
kucha-e-yar se yarab na uThana hum ko
is bure haal mein bhi hum to yahin achchhe hain
na koi dagh na dhabba na hararat na tapish
chand-suraj se bhi ye mah-jabin achchhe hain
koi achchha nazar aa jae to ek baat bhi hai
yun to parde mein sabhi parda-nashin achchhe hain
tere ghar aaen to iman ko kis par chhoDen
hum to kabe hi mein ai dushman-e-din achchhe hain
hain maze husn-o-mohabbat ke inhin ko hasil
aasman walon se ye ahl-e-zamin achchhe hain
ek hum hain ki jahan jaen bure kahlaen
ek wo wo hain ki jahan jaen wahin achchhe hain
kucha-e-yar se mahshar mein bulata hai KHuda
kah do 'muztar' ki na aaenge yahin achchhe hain

Ghazal
Unhin logon ki badaulat ye hasin achchhe hain
Muztar Khairabadi