اردو हिंदी
Unhin ki shah se unhen mat karta rahta hun | Shaahi Shayari
unhin ki shah se unhen mat karta rahta hun

Ghazal

Unhin ki shah se unhen mat karta rahta hun

Irfan Siddiqi

;

unhin ki shah se unhen mat karta rahta hun
sitamgaron ki mudaraat karta rahta hun

yahan koi nahin sunta hadis-e-dil-zadagan
magar main aur tarah baat karta rahta hun

bhala ye umr koi karobar-e-shauq ki hai
bas ek talafi-e-mafat karta rahta hun

ye kaenat mere baal-o-par ke bas ki nahin
to kya karun safar-e-zat karta rahta hun

yahin pe war-e-harifan uThana paDta hai
yahin hisab-e-musawat karta rahta hun

ajab nahin kisi koshish mein kaamran ho jaun
mohabbaton ki shuruat karta rahta hun

hamesha kasa-e-KHali chhalakta rahta hai
faqir hun so karamat karta rahta hun