unhen kyun phul dushman id mein pahnae jate hain
wo shaKH-e-gul ki surat naz se bal khae jate hain
agar hum se KHushi ke din bhi wo ghabrae jate hain
to kya ab id milne ko farishte aae jate hain
wo hans kar kah rahe hain mujh se sun kar ghair ke shikwe
ye kab kab ke fasane id mein dohrae jate hain
na chheD itna unhen ai wada-e-shab ki pashemani
ki ab to id milne par bhi wo sharmae jate hain
'qamar' afshan chuni hai ruKH pe us ne is saliqe se
sitare aasman se dekhne ko aae jate hain
Ghazal
Unhen kyun phul dushman id mein pahnae jate hain
Qamar Jalalvi