اردو हिंदी
Unhen aadat hamein lazzat sitam ki | Shaahi Shayari
unhen aadat hamein lazzat sitam ki

Ghazal

Unhen aadat hamein lazzat sitam ki

Jaleel Manikpuri

;

unhen aadat hamein lazzat sitam ki
udhar shamshir idhar taqdir chamki

kahun kya dard-e-dil kab se baDha hai
nigah-e-lutf tum ne jab se kam ki

qadam chumenge tere ho ke pamal
chalenge chaal hum naqsh-e-qadam ki

yahan tak un ke wade jhuT nikle
qasam ko bhi hui hajat qasam ki

wo zulf-e-mushk-bu bikhri hui thi
khuli chori nasim-e-subh-dam ki

yahan tak un ko pas-e-raaz-e-KHat tha
ki KHame ki zaban pahle qalam ki

zamin par is ada se panw rakkha
ki aankhen khul gain naqsh-e-qadam ki

kahan piri mein wo raushan-bayani
zaban to hai charagh-e-subh-dam ki

kahan hum aur kahan baKHshish hamari
'jalil' ek mauj bhi abr-e-karam ki