un se tanhai mein baat hoti rahi
ghaebana mulaqat hoti rahi
hum bulate wo tashrif late rahe
KHwab mein ye karamat hoti rahi
kasa-e-chashm labrez hoti rahi
us dariche se KHairaat hoti rahi
dil bhi zor-azmai se haara nahin
garche har martaba mat hoti rahi
sar bachae raha sabr ka saeban
aasman se to barsat hoti rahi
go mohabbat se hum ji churaate rahe
zindagi bhar ye bad-zat hoti rahi
shahr bhar mein phiraya gaya qais ko
kuche kuche mudaraat hoti rahi
jagte aur sote rahe hum 'shuur'
din nikalta raha raat hoti rahi
Ghazal
Un se tanhai mein baat hoti rahi
Anwar Shuoor